Arzz kiya hain...

taqdiir ki gardishon mein asiir bane firte ho,
Khudi chodd kar firdaus ki ummeed rakte ho...

rukh badla waqt ki purwa ne, fir aik baar,
isharat-e-rafta ke peeche kiyon jiye jate ho...

khud ko hi bhool gaye gam-e-hastii mein, aye musafir,
mustqil mizaji ke ba.ghair shaam-e-khusta ko jalane ki ummeed karte ho...

gurub-e-aftab ke sath nahi bujh.ta chiraag-e-zindagi
yeh raat ka noor nishan-e-ziyaa hai uski...

3 comments:

wah wah ... waaah waah.. waah waah
:P

May 6, 2009 at 9:46 AM  

Kuks...pls add a legend at the bottom of the shayari :)

May 7, 2009 at 6:08 AM  

hehe, legend of Zorba or something??

May 7, 2009 at 3:35 PM  

Newer Post Older Post Home